Sunday, 28 August 2011

Dard

Mein to apni hi mout mara hua tha…
Behiss sa kinarey pe betha hua tha
Is dard se mujhey nayi zindagi mili
Yeh zeher pee k hi mein zinda hua tha
Waqt  ki aandhiyaan sikha gayi kya kya
Behna sikha diya ,jub mein thehra hua tha
Kya dard ka ahsaas,kya aansuoon ka behna
Namkeen hai is ka mazaa ,mei bhula hua tha
Jab tuk na piroya dard ko tasbeeh daanun mein
Kaamil phir hi koi mera, sajdah hua tha
Raahatun ka kabhi mujh pe na koi asar hua
Dard-e-dil se hi to mein,insaan hua tha
Tu mujh ko dekh ker ADA yun aanhein na bhar
Yeh who aag hai jis mein tap k mein ,heera hua tha….

No comments:

Post a Comment