Friday, 26 August 2011

Aey zindagi

chaltay chaltey yun hi jab mud k dekha peechey
kayi khwabun ki raakh thi ,kayi armaan bikhrey
phir bhi bahein phalaye khadi hun teray liye
hairaan hun mein khud pe ,Aey zindagi.
.
kabhi naadaan bachpan,kabhi chadta shabab hai....
kabhi tu sawaal, kabhi khud hi jawaab hai
ab tak na samajh payi terey kitney baab hein
hairaan hun mein khud pey ,Aey zindagi..
.
kabhi her baat lagey anjaani
kabhi manzil bhi lagti jaani pehchani
teray her rang pey hue mei deewani
hairaan hun mein khud pey ,Aey zindagi…

kabhi dard ki taan hai tu
kabhi dhol nagadu ki taap hai tu
phir bhi jaaney kyun sunsaan hai tu
hairaan hun mein tujh pe ,Aey zindagi…

tu shayed maazi ka khayaal hai
ya phir haal ka hi haal hai
ya mustaqbil ka tu malaal hai
hairaan hun mein tujh pe ,Aey zindagi

No comments:

Post a Comment