Tuesday, 19 July 2011

Yeh hawaein!!!!!!


Yeh hawaein!!!
Jhoomti lehrati hawaein…
Chhoo k mujh ko jayein
Bheeni bheeni se khushboo
Sang apney layein
Lehrati tehniyaan
Apni adayein dikhayein
Jhoomtey phoo
Rang apney bikherein
Hila k yeh khidki darwazey
Jaaney kya kya saaz bajaye
Yeh hawayein!!!
Taazgi ahsaasun mein laye
Dil-e-nadaan bhi behak jaye
Yun hi kissi pattey ki tarah
Kash mujh ko bhi uda le jaye
Yeh hawayein!!!
Jhoomti lehrati hawayein

1 comment: