Tuesday, 6 September 2011

Dil ki batein....

Dil  ki gehrayiun mein naraiye touheed hota hai
Jaaney kya hai jo issey tehdeed kerta hai

Khayal aata hai ki kamaal kya hai dil ka
Toot ker bhi phir ye umeed kerta hai

Guzzaar  ker raat din ashkun mein
deedar-e-mehboob ki ye taakeed kerta hai

Jisney talash ki tareek aasmanun ki
Wahi dekh ker hilal phir eid kerta hai

ADA  anjaan hai tu dil ki batun se
Tera dil hi teri tanqeed kerta hai….

No comments:

Post a Comment